Urdu Poetry
vo to Khushbuu hai havaao.n me.n bikhar jaayegaavo to Khushbuu hai havaao.n me.n bikhar jaayegaa
|
cheharaa meraa thaa nigaahe.n us kii
cheharaa meraa thaa nigaahe.n us kii
Khaamushii me.n bhii vo baate.n us kii
mere chehare pe Gazal likhatii ga_ii.n
sher kahatii hu_ii aa.Nkhe.n us kii
shoKh lamho.n kaa pataa dene lagii.n
tez hotii hu_ii saa.Nse.n us kii
aise mausam bhii guzaare ham ne
subahe.n jab apanii thii.n shaame.n us kii
dhyaan me.n us ke ye aalam thaa kabhii
aa.Nkh mahataab kii yaade.n us kii
faisalaa mauj-e-havaa ne likkhaa
aa.Ndhiyaa.N merii bahaare.n us kii
niind is soch se TuuTii aksar
kis tarah kaTatii hai.n raate.n us kii
duur rah kar bhii sadaa rahatii hai
mujh ko thaame hue baahe.n us kii..
(Pareen Shakir)
kabhii nekii bhii us ke jii me.n gar aa jaaye hai mujh se
Mirza Ghalib
kabhii nekii bhii us ke jii me.n gar aa jaaye hai mujh se
jafaaye.n kar ke apanii yaad sharmaa jaaye hai mujh se
Khudaayaa jazbaa-e-dil kii magar taasiir ulaTii hai
ki jitanaa khe.nchataa huu.N aur khi.nchataa jaaye hai mujh se
sa.Nbhalane de mujhe ai naa_umiidii kyaa qayaamat hai
ki daamaan-e-Khayaal-e-yaar chhuuTaa jaaye hai mujh se
qayaamat hai ki hove mudda_ii kaa ham_safar 'Ghalib'
vo kaafir jo Khudaa ko bhii na sau.npaa jaaye hai mujh se
rone se aur ishq me.n bebaak ho gaye
Mirza Ghalib
Mirza Ghalib
rone se aur ishq me.n bebaak ho gaye
dhoye gaye ham aise ki bas paak ho gaye
[bebaak=outspoken/bold, paak=pure/clean/holy ]
kahataa hai kaun naalaa-e-bul_bul ko beasar
parde me.n gul ke laakh jigar chaak ho gaye
karane gaye the us se taGaaful kaa ham gilaa
kii ek hii nigaah ki bas Khaak ho gaye
[taGaaful=negligence, gilaa=complaint, Khaak=dust/ashes]
is rang se uThaa_ii kal us ne 'Asad' kii naash
dushman bhii jis ko dekh ke Gam_naak ho gaye
Parveen Shakir
Parveen Shakir
Parveen Shakir
Parveen Shakir
Jo Na Mil Sake Usay Bhool Ja
Mujhe Sandal Kardo WasiSha
Pal DO Pal Hein Pyark
Nusrat Fateh Ali Khan The Best
Usad Nusrat Fateh Ali Khan
Din Main Kab Socha Karte Thay
Pyar Nahi Karna
Remixed Must Nazron Say
Afreen Afreen
Tumhe Dillagi Remix
Aisi Hai Tanhaai
Kise Da Yaar Na Vichhre
Aap Say Mill Kar Hum
Dost-Kya-Khoob-Wafaon - Nusrat Fateh Ali Khan
Yeh Jo Halka Halka Suroor- Remembering Nusrat
Remembering Nusrat - Dum Must Qalander - Rahat Fateh Ali Khan
Allah Hoo- Remembering Nusrat
rahat fateh ali khan with nusrat fateh ali khan
Ah Jaa Tenu Akhiyan Udeek Diyan
pyar hota hai to hota hai ya hota he nahi
je tu akhiyaan de sahmne ni rehna
Idhar Zindagi Ka Janaaza Atta Ullah Khan
ham raat bhot roey - Attaullah Khan
khabo mai koi aaker sad ghazal
Dil Lagaya Tha Dillagi K Liye
kabhi kabhi mere dil me best ghazal
HOTHON SE CHOOLO TUM by Jagjit Singh
Pankaj Udhas Hit Ghalazal
ZINDAGI MEIN TU SABHI - MEHDI HASAN